Thursday 8 June 2017

Bashir Badr gazal Agar talaash karun

Agar talaash karun koi mil hi jayega

Bashir Badr Ghazals lyrics


Agar talaash karun koi mil hi jayegaMagar tumhari tarah kaun mujhko chahega


Tumhen zaroor koi chahaton se dekhegaMagar wo aankhen hamaari kahan se layega


Na jane kab tire dil par nayi si dastak hoMakaan khali hua hai to koi ayega


Main apni raah mein deewar ban key baitha hunAgar wo aaya to kis raaste se ayega


Tumhare saath ye mausam farishton jaisa haiTumhare baad ye mausam bahut sataayega

No comments:

Post a Comment