Showing posts with label Namit Raturi. Show all posts
Showing posts with label Namit Raturi. Show all posts
Tuesday, 22 August 2017
Jamane ne ishq ko Hindi poem
Jamane ne ishq ko kosne ka yeh kesa rivaj bana dala, aashiq ko farebi keh dia aur wafa ko miraz bana dala, dekh kar halat apne shehar ki,aj har ghar ki deeware roti hai, jinka kam tha bandishe lagana,aj un patharo pe tasvire hoti hai,
Hindi poem Gumnaami ke badlo me
Gumnaami ke badlo me
Gumnaami ke badlo me
yuh hai tuta kaha doobe,
kaha khtam kare yeh daastan,
har taalab mera
aks
dekh kar hai sukha,
patta jo saja tha barso
se us darakht pe,
gumnaam ho
gya wo
jara se waqt me,
aandhi qa aai uska wajood kho gya,
chumta tha jo
aasma,
kuchla hai use aj kisi
apne hi shaksh ne,
maikhano me bhi na
sambhla dard
yeh mera,
aj ro ke poora kar deta
hu ishq ka karj yeh tera,
ab rakha koi hisaab
nahi
har aansu hai gira,
fir yaade konsa hisaab karne ke
liye ched jaati hai
marz yeh mera,
log to wo bhi the jo kehte the
tere liye jaan bhi haajir hai,
waqt ne aaj bataya ki
wo kitne shaatir hai,
yeh kya sanjog tha ki mere ankhe
band hone ke bad meri ankhe khuli,
kandha na mila mujhe aaj aur log to
yeh kha
karte the ki sama yeh tere khaatir hai
x
Saturday, 19 August 2017
Best poem HADSA
HADSA Roko na ise,na ise bhujao,
roko na ise, na ise bhujao,
jo aag lagi hai jara ise bhadkao,
dil mera tum ase fook do,
dard mere sare aj loot lo,
banja beraham ae aag tu,
karde pal me bas muje raakh tu,
bas jalne do muje aag sa,
hone do koi hadsa....
na jane yeh maut mujse bhi kya le jaegi,
ek jindgi hai bekimti,
na jane uska bhi kya sauda kar jaegi,
mere tan ko mera hi lahu se odne do,
mere har khwab ko ek ek kar ke todne do,
jwala asi ho ki mere ashq bhi na bhuja paye,
aahe asi ho meri ki zameen pe khuda aaye,
jo dard mere na sun sake muje us khuda se qa wasta,
bas hone do koi hadsa,
mere dil me basi us bewafa ki tasveer ko jalne do,
meri har saans ko dhire dhire dhalne do,
dekho fir tamasha meri barbaadi ka,
meri ukhdti saanso ka,meri nai aajadi ka,
meri jalti chaahat ka,meri bewafa ulfat ka,
meri bebas bebasi ka,meri har adhuri hasrat ka,
ab mit jane do muje,na hai ab koi rasta,
bas hone do koi hadsa......
dhua uth raha hai,
jo us bewafa ki akho me chubh raha hai,
uske bhi ashq beh rahe hai,
uska bhi dil dhukh raha hai,
tune bhi jhkam khae,tuje bhi na mila koi marham,
tu bhi tadpi hai meri tarah,
teri bhi aahe na hai kam,
bas yahi tha mera ek maksad,
ki mar kar bhi tuje bta saku ishq ki keemat,
par der ho gai tujse,
ab mit gai hai meri daastan,
bas ase hua yeh HADSA
Friday, 18 August 2017
kesi hai yeh berukhi si,
kesi hai yeh berukhi si
na maksad hai,na manjil hai,
na khabar koi kya karna haasil hai,
shayad in rasto se hone lagi hai mohabbat,
shayad in patharo pe girne ki hai aadat,
fir gir ke uthne me bhi maja hai,
fir un jhkhmo me bhi dawa hai,
ant(end) na koi hai,shuruwat bhi thi dhundli,
kya pata hai mera is pal,tham si gai hai jindgi,
ab is jindgi ne la khada kia hai kis adhar(middle) me,
ab in kadmo ne la khada kia hai kis safar pe....
kis safar pe.........
parvato ki uchaio se to mujhe yuh bhut dar lagta hai,
har kadam mera maut ke khauf me uthta hai,
tham jaati hai saanse jab chotio pe panchio ke ghar dekhta hu,
par us shaan ka bhi kya kehna,jab sooraj bhi mere aage jhukta hai,(sunset)
baadal bade aawara hai,kabhi is shehar kabhi us shehar,
kahi barasna hai inhe zor se,kahi feeka hai inka asar,
inko bhi kya matlab kisi ki hasi ya kisi ke rone me,
kya fark padta hai inhe kisi ke pane me kisi ke khone me,
inhe to baatni hai bunde,yeh bhi hai bemaksad,
kahi bhi phoch jaate hai,dekhte nahi koi sarhad,
hawa jha le chale,ruk jaate hai yeh usi basar(basera,stay) pe,
koi na jaane yeh bhi chalte hai na jane kis safar pe.......
kis safar pe....
Wednesday, 8 February 2017
Best Hindi poem
Best Hindi poem
"FIR BHI MUJHE BADNAAM KRTE HO"
fir ishq ke anjaam se darte ho,
hume khroch bhi aa
jaye ishq ke safar me,
mujhe fir bhi badnaam karte ho....
doob ke karte ho khud ishq,
khuda ko bhi hairaan karte ho,
mai tair bhi jau ishq ke samundar me,
mujhe fir bhi badnaam karte ho.....
mehfilo me dastaan-e-ishq sunate ho,
yuh khud ka naam karte ho,
mai tanhai me khud ko sunau apne dard,
mujhe fir bhi badnaam karte ho....
beth ke maikhane me,
adab se apna jaam bharte ho,
mai ishq ka nasha karta hu,
padhte ho shauk se shayari meri,
talio se apni sannate ko viraam karte ho,
par likhta hu mai vahi shayari kagjo pe,
to mujhe badnaam karte ho....
haste ho meri bheegi palko pe,
ase jese mere jhkhmo pe ehsaan karte ho,
kabhi khud tut ke dekho ishq me,
fir ehsas hoga mujhe kyu badnaam karte ho....
Subscribe to:
Posts (Atom)