Friday 13 October 2017

Best Ghazal of Rahat Indori

Best Ghazal of Rahat Indori


Best Ghazal of Rahat Indori




Beemar ko marz ki dawa deni chahiye,
main peena chahta hun pila deni chahiye.

Allaah barkaton se nawaazega ishq mein,
hai jitni poonji paas laga deni chahiye.

Dil bhi kisi faqeer ke huzre se kam nahin,
ye duniya yahin pe laa ke chhupa deni chahiye.

Main khud bhi karna chahta hun apna saamna,
tujh ko bhi ab naqaab utha deni chahiye.

Main phool hun toh phool ko guldaan ho naseeb,
main aag hun toh aag bujha deni chahiye.

Main taaj hun toh taaj ko sar pe sajaayen log,
main khaak hun toh khaak udaa deni chahiye.

Maine jabr hun toh jabr ki taaiid band ho,
main sabr hun toh mujh ko dua deni chahiye.

Main khwaab hun toh khwaab se chaunkaaiye mujhe,
main neend hun toh neend udaa deni chahiye.

Sach baat kaun hai jo sar-e-aam keh sake,
main keh raha hun mujh ko saza deni chahiye. 


Rahat Indori......

No comments:

Post a Comment