Tuesday, 22 August 2017

Jamane ne ishq ko Hindi poem

Jamane ne ishq ko

Jamane ne ishq ko Hindi poem

Jamane ne ishq ko kosne ka yeh kesa rivaj bana dala, aashiq ko farebi keh dia aur wafa ko miraz bana dala, dekh kar halat apne shehar ki,aj har ghar ki deeware roti hai, jinka kam tha bandishe lagana,aj un patharo pe tasvire hoti hai,
ab yeh theka to utha lia hai kuch sanskriti ke thekedaro ne, wo bhul gaye kanha ne bhi ishq kia tha gokul ke galiyaro me, ab shayad har gali,har ganv,har shehar me ishq ka kaatil hoga, nafrat hogi,saajishe hogi aur aahe hogi,par dil ki jgah na dil hoga par dil ki jgah na dil hoga....
har bikhra tuta tukda dil ka mang raha hai aj insaaf, isko mana ke hata to ankho ne pucha ashko ka hisaab,
kis kis ko samjhata,kis kis ko manata, aj har gair puch raha hai mere jhkhmo ka raaj, hairan hai nafrat karne wale bhi,ishq ka hashar dekh kar, dub gai hai ankhe patharo ki yeh dard ka manjar dekh kar,
shayad mai bhi dub jaata ishq ke saagar me,par in zahilo ki najar lag gai, ankhe kya chaar hui, mujhe khabar na hui aur in kaatilo ko khabar lag gai,
fir faisla yuh hua mera ki uski gali me na rakhunga kadam, khidkia wo band rakhegi,har rishta hoga yuh khtam, sukh jaega ishq ka har talaab,har saagar,har jharna bas ab ret me duba saahil hoga, dubne walo ke pas jhkham hoga,dard hoga aur ansu honge par dil ki jgah na dil hoga par dil ki jgah na dil hoga.... phookte the jisko hum zoro se,agar uspe jara si aanch bhi pade aj ishq karne se pehle hi tod dia wo dil apne haatho se kaanch ki trah,
hum jodte rahe tukdo ko, bas is umeed se ki dhadkega, aur jo chamkta tha suraj ki tarah seene me
wo dhal gaya saanjh ki tarah agar samjhega,janega aur manega dastan mere tute dil ki,to koi aur na is khel me shaamil hoga,
ab naye sapne honge,nayi manjile hongi aur nayamaksad honga sab hoga par dil ki jgah na dil hoga, par dil ki jgah na dil hoga...

No comments:

Post a Comment