Friday, 18 August 2017

kesi hai yeh berukhi si,

kesi hai yeh berukhi si

Best Hindi poem


kesi hai yeh berukhi si

jindgi lage ab betuki si,
na maksad hai,na manjil hai,
na khabar koi kya karna haasil hai,
shayad in rasto se hone lagi hai mohabbat,
shayad in patharo pe girne ki hai aadat,
fir gir ke uthne me bhi maja hai,
fir un jhkhmo me bhi dawa hai,
ant(end) na koi hai,shuruwat bhi thi dhundli,
kya pata hai mera is pal,tham si gai hai jindgi,
ab is jindgi ne la khada kia hai kis adhar(middle) me,
ab in kadmo ne la khada kia hai kis safar pe....
kis safar pe.........


parvato ki uchaio se to mujhe yuh bhut dar lagta hai,

har kadam mera maut ke khauf me uthta hai,
tham jaati hai saanse jab chotio pe panchio ke ghar dekhta hu,
par us shaan ka bhi kya kehna,jab sooraj bhi mere aage jhukta hai,(sunset)



baadal bade aawara hai,kabhi is shehar kabhi us shehar,

kahi barasna hai inhe zor se,kahi feeka hai inka asar,
inko bhi kya matlab kisi ki hasi ya kisi ke rone me,
kya fark padta hai inhe kisi ke pane me kisi ke khone me,
inhe to baatni hai bunde,yeh bhi hai bemaksad,
kahi bhi phoch jaate hai,dekhte nahi koi sarhad,
hawa jha le chale,ruk jaate hai yeh usi basar(basera,stay) pe,
koi na jaane yeh bhi chalte hai na jane kis safar pe.......

kis safar pe....

No comments:

Post a Comment