Wednesday 8 February 2017

Best Hindi poem

Best Hindi poem

"FIR BHI MUJHE BADNAAM KRTE HO" 


Best Hindi poem IN hindi and Ghazals lyrics




fir ishq ke anjaam se darte ho,
 hume khroch bhi aa
 jaye ishq ke safar me,
mujhe fir bhi badnaam karte ho....
 doob ke karte ho khud ishq,
khuda ko bhi hairaan karte ho, 
mai tair bhi jau ishq ke samundar me,
mujhe fir bhi badnaam karte ho.....
 mehfilo me dastaan-e-ishq sunate ho,
yuh khud ka naam karte ho,
 mai tanhai me khud ko sunau apne dard,
mujhe fir bhi badnaam karte ho.... 
 beth ke maikhane me,
adab se apna jaam bharte ho, 
mai ishq ka nasha karta hu,
to mujhe badnaam karte ho.....
Hindi poem
 padhte ho shauk se shayari meri,
talio se apni sannate ko viraam karte ho,
 par likhta hu mai vahi shayari kagjo pe,
to mujhe badnaam karte ho....
 haste ho meri bheegi palko pe,
ase jese mere jhkhmo pe ehsaan karte ho,
 kabhi khud tut ke dekho ishq me,
fir ehsas hoga mujhe kyu badnaam karte ho....

2 comments: