1 Ghar se nikle toh ho socha bhi kidhar jaaoge
Ghar se nikle toh ho socha bhi kidhar jaaoge
har taraf tez hawaayen hain bikhar jaaoge
Itna aasaan nahin lafzon pe bharosa karna
ghar ki dehleez pukaaregi jidhar jaaoge
Shaam hote hi simat jaayenge saare raste
behte dariya se jahan hoge thehar jaaoge
Har naye shehar mein kuchh raaten kadi hoti hain
chhat se deewaren juda hongi toh dar jaaoge
Pehle har cheez nazar aayegi bemaani si
aur phir apni hi nazar se utar jaaoge
2 Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltakahin zameen toh kahin aasmaan nahin milta
Tamaam shehar mein aisa nahin khuloos na hojahan umeed ho iss ki wahan nahin milta
Kahan charaagh jalaayen kahan gulaab rakhenchhaten toh milti hain lekin makaan nahin milta
Ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hainzubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta
Charaagh jalte hain beenaai bujhne lagti haikhud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta
No comments:
Post a Comment