Tuesday 29 August 2017

3 Famous Ghazal Rahat Indori

3 Famous Ghazal Rahat Indori

Best Ghazal lyrics

Ab Na Mai Wo Hun,

 Naa Baaki Hai Zamaane Mere,

 Phir Bhi Mashhoor Hai, 

Shahron Mai Fasaane Mere,

 Zindagi Hai To Naye

 Zakhm Bhi Lag Jaayenge,

 Ab Bhi Baaki Hai Kai Dost Puraane Mere,

 Aap Se Roz Mulaakat Ki Ummeed Nahi,

 Ab Kaha Shehar Mai 

Rahte Hai Thikaane Mere, 

Umra Ke Raam Ne,

 Saanson Ka Dhanush, Tod Diya,

 Mujhpe Ehsaan Kiya Aaj Khuda Ne Mere,

Aaj Jab So Ke Uttha Hu To Ye Mehsus Hua,

 Siskiyaa Bharta Raha Koi Sirhaane Mere


3 Famous Ghazal Rahat Indori



Ghar se soch ke nikla
hoon ki mar jaana hai,
 ab koi raah dikha de
 ki kidhar jaana hai.
 Jism se sath nibhaane
 ki mat ummeed rakho,
 is musafir ko to raaste
 mein thehar jaana hai.
 Maut lamhe ki sada
zindagi umron ki pukaar,
 main yahi soch ke zinda
 hoon ki mar jaana hai.
 Nasha aisa tha ki maikhane
 ko duniya samjha,
 hosh aaya to khayal aaya
 ki ghar jaana hai.
Mere jazbe ki badi qadar
hai logo mein magar,
 mere jazbe ko mere sath
hi mar jaana hai.


3 Famous Ghazal Rahat Indori



Charaghon ko uchala jaa raha hai,

 hawa par rob dala jaa raha hai.

 Na haar apni na apni jeet hogi,

 magar sikka uchala jaa raha hai.

 Woh dekho mehkade ke raste mein,

 koi allaah wala jaa raha hai.

 The pehle hi kayi saanp aastin mein,

 ab ek bichu bhi pala jaa raha hai.

 Mere jhoote gilaason ki chakaa kar,

 behakton ko sambhala ja raha hai.

 Humein buniyaad ka patthar hai lekin, 

humein ghar se nikala jaa raha hai.

 Janaaze par mere likh dena yaaro,

 mohabbat karne wala jaa raha hai


No comments:

Post a Comment