Monday 13 August 2018

Top 5 poem of kumar kumar vishwas

kumar vishwas


kumar vishwas


1

Chand cheharw lagenge apne se,

khud ko par bekrar mat karna,

aakhirsh dil’lagi lagi dil par?

Hum na kehte the pyaar mat karna 


2

Koi deewana kehta hai , 

koi pagal samjhta hai,

Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samjhta hai,

Mai tujhse door kesa hu, 

tu mujhse dur kesi hai,

ye tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai.


3

Mohabat ek aehsaaso ki paawan si kahani hai,

Kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwani hai,

yaha sab log kehte hai , 

meri aankho me aansu hai,

Jo tu samjhe to moti hai , 

jo na samjhe to paani hai.


4

Samandar peer ka andar hai, 

lekin ro nahi sakta,

Yeh aansu pyaar ka moti hai,

 isko kho nhi sakta,

Meri chahat ko dulhan tu bana lena ,

 magar sun le,

Jo mera ho nhi paya ,

 vo tera ho nhi sakata


5

Bhrmar koi kumuduni par machal baitha to 

hungama Humaare dil me koi khwaab pal betha to 

hungamaAbhi tak dub kar sunte the sab kis’se mohobat

 ka mai kis’se ko hakikat me badal baitha to hungama

kumar vishwas....


No comments:

Post a Comment