kumar vishwas
Falak pe bhi bhor ki dulhan yun saj ke aai hai,
Ye din ugaa hai yaa suraj ke ghar sagaai hai,
Abhi bhi aate hai aansu meri kahaani me,
Kalam me shukr -ae-khuda hai ki sehnaai hai.
2
Ghar se nikala hu to nikla hai ghar bhi sath mere,
Dekhna ye hai ki manzil pe kaun pahuchega?
Meri kashti me bhavare baandh ke duniya khush hai,
Duniya dekhegi ki saahil pe kaun pahuchega.
3Ussi ki tarah mujhe saara zamana chaahe
Vo mera hone se jayada mujhe paana chahe
Meri palko se phisal jata hai chehra tera
ye musafir to koi thikana chahe
4
Himmat ae raoshni badh jaati hai,
Hum chiraago ki een hawaao se,
koi to ja ke bata de uss ko,
chain badhta hai baduaao se
5
kalam ko khoon me khud ke dubota hu to hungama,
Girenba apna aansu me bhigota hu to hungama ,
Nahi mujh pr bhi jo khud ki khabar vo hai
zamane parMai hasta hu to hungama ,
mai rota hu to hungama.
kumar vishwas.......
No comments:
Post a Comment